mat puchh tere hijr mein kitna hazin hun main
mat pūchh tere hijr meñ kitnā hazīñ huuñ maiñ
māyūs zindagī se ajal se qarīñ huuñ maiñ
huuñ kushta-e-firāq mirī bekasī to dekh
ik chaltī phirtī laash huuñ zinda nahīñ huuñ maiñ
tujh ko sanam ga.e hue muddat huī magar
chhoḌā thā jis maqām pe ab tak vahīñ huuñ maiñ
gum huuñ tire ḳhayāloñ kī maiñ vādiyoñ meñ aaj
mujh ko na kar talāsh ki ḳhud meñ nahīñ huuñ maiñ
ābād kar liyā hai jo apnā jahāñ alag
duniyā-e-husn-o-‘ishq meñ gosha-nashīñ huuñ maiñ
thāme hai dast-e-ġham mire dāman ko kis liye
goyā ki us ke vāste hablul-matīñ huuñ maiñ
bikhrā.e zulf sotī haiñ jis jā udāsiyāñ
'mohkam' usī makān-e-alam kā makīñ huuñ maiñ
mat puchh tere hijr mein kitna hazin hun main
mayus zindagi se ajal se qarin hun main
hun kushta-e-firaq meri bekasi to dekh
ek chalti phirti lash hun zinda nahin hun main
tujh ko sanam gae hue muddat hui magar
chhoDa tha jis maqam pe ab tak wahin hun main
gum hun tere KHayalon ki main wadiyon mein aaj
mujh ko na kar talash ki KHud mein nahin hun main
aabaad kar liya hai jo apna jahan alag
duniya-e-husn-o-‘ishq mein gosha-nashin hun main
thame hai dast-e-gham mere daman ko kis liye
goya ki us ke waste hablul-matin hun main
bikhrae zulf soti hain jis ja udasiyan
'mohkam' usi makan-e-alam ka makin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.