mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha
mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha
Mohammad Izhar ul Haq
MORE BYMohammad Izhar ul Haq
matā-e-be-bahā aañsū zamīñ meñ bo diyā thā
palaT kar jab tirā ghar maiñ ne dekhā ro diyā thā
asā dar dast huuñ us din se bīnā.ī nahīñ hai
sitāra aañkh meñ aayā thā maiñ ne kho diyā thā
zamāne husn sarvat hech sab us ke muqābil
tahī-kesa ko us pahlī nazar ne jo diyā thā
paroñ kī arġhavānī chhāñv phailā.ī thī sar par
bahishtī nahr kā paanī musāfir ko diyā thā
bas ik qindīl thī jaltī huī apne lahū meñ
yahī nazrāna denā thā haram meñ so diyā thā
mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha
palaT kar jab tera ghar main ne dekha ro diya tha
asa dar dast hun us din se binai nahin hai
sitara aankh mein aaya tha main ne kho diya tha
zamane husn sarwat hech sab us ke muqabil
tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diya tha
paron ki arghawani chhanw phailai thi sar par
bahishti nahr ka pani musafir ko diya tha
bas ek qindil thi jalti hui apne lahu mein
yahi nazrana dena tha haram mein so diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.