mata-e-hosh luT jaane ke din hain
matā-e-hosh luT jaane ke din haiñ
dil-e-nādāñ ko samjhāne ke din haiñ
maiñ har mausam meñ un se pūchhtā huuñ
kidhar jā.ūñ kidhar jaane ke din haiñ
nayā-pan sard hotā rahā hai
purānī aag sulgāne ke din haiñ
bashar kī zindagī ke chaar din bhī
kahāñ jiine ke mar jaane ke din haiñ
nahīñ hamvār rāh-e-zindagānī
kabhī khone kabhī paane ke din haiñ
javānī bhī kahāñ hai ahd-e-ishrat
javānī meñ bhī ġham khāne ke din haiñ
'kañval' is ghar meñ to maktab na kholo
jahāñ bachchoñ ke muskāne ke din haiñ
mata-e-hosh luT jaane ke din hain
dil-e-nadan ko samjhane ke din hain
main har mausam mein un se puchhta hun
kidhar jaun kidhar jaane ke din hain
naya-pan sard hota raha hai
purani aag sulgane ke din hain
bashar ki zindagi ke chaar din bhi
kahan jine ke mar jaane ke din hain
nahin hamwar rah-e-zindagani
kabhi khone kabhi pane ke din hain
jawani bhi kahan hai ahd-e-ishrat
jawani mein bhi gham khane ke din hain
'kanwal' is ghar mein to maktab na kholo
jahan bachchon ke muskane ke din hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.