mata-e-sahn-e-chaman phir lahu-lahu kya hai
matā'-e-sahn-e-chaman phir lahū-lahū kyā hai
agar yahī hai to me'yār-e-rang-o-bū kyā hai
junūñ ko bād-e-bahārī se hai numū darkār
rafūgaroñ se kaho ‘ujlat-e-rafū kyā hai
ḳhudā gavāh ba-juz is ke aarzū kyā thī
ki tum ne pūchh liyā hai ki aarzū kyā hai
idhar haiñ āñkhoñ meñ aañsū udhar jabīñ pe shikan
ye kaun jaane ki mauzū'-e-guftugū kyā hai
hai zulmatoñ se ujāloñ kī ‘azmatoñ kā bharam
nahīñ to din meñ charāġhoñ kī aabrū kyā hai
hazār jāneñ tirī ḳhūbī-e-sitam pe nisār
tujhe kamāl mubārak mirā lahū kyā hai
gila bhī ho to zabāñ par na aa.e ai 'afzal'
kisī gile kā mahal un ke rū-barū kyā hai
mata'-e-sahn-e-chaman phir lahu-lahu kya hai
agar yahi hai to me'yar-e-rang-o-bu kya hai
junun ko baad-e-bahaari se hai numu darkar
rafugaron se kaho ‘ujlat-e-rafu kya hai
KHuda gawah ba-juz is ke aarzu kya thi
ki tum ne puchh liya hai ki aarzu kya hai
idhar hain aankhon mein aansu udhar jabin pe shikan
ye kaun jaane ki mauzu'-e-guftugu kya hai
hai zulmaton se ujalon ki ‘azmaton ka bharam
nahin to din mein charaghon ki aabru kya hai
hazar jaanen teri KHubi-e-sitam pe nisar
tujhe kamal mubarak mera lahu kya hai
gila bhi ho to zaban par na aae ai 'afzal'
kisi gile ka mahal un ke ru-baru kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.