mata-e-zindagi ab hijr ki babat khulegi
matā-e-zindagī ab hijr kī bābat khulegī
judā haiñ ya.anī milne kī koī sūrat khulegī
ufuq par Dūbtī ḳhushbū se phailegī udāsī
nigār-e-shām-e-ġham se shahr kī rangat khulegī
jo ik pur-shor qurbat ham guzār aa.e haiñ us kī
akele-pan meñ to kuchh aur hī shiddat khulegī
khulegī be-sabātī gul kī ik mausam meñ jā kar
ye dil kī be-sabātī to ba-yak saa.at khulegī
nafas kī anjuman meñ is purāne aa.ine par
tirī yādoñ kī dastak se na.ī hairat khulegī
tasarruf meñ rahegī kab zarūrat umr bhar kī
bachā rakhne kī ḳhātir kab koī mohlat khulegī
bas andāze lagā.e jā.eñge sail-e-balā ke
bahā le jā.egī sab kuchh to ye aafat khulegī
qayāmat kā yaqīñ thā par nahīñ ma.alūm thā ye
bapā hogī qayāmat jab to ye ḳhilqat khulegī
mata-e-zindagi ab hijr ki babat khulegi
juda hain yani milne ki koi surat khulegi
ufuq par Dubti KHushbu se phailegi udasi
nigar-e-sham-e-gham se shahr ki rangat khulegi
jo ek pur-shor qurbat hum guzar aae hain us ki
akele-pan mein to kuchh aur hi shiddat khulegi
khulegi be-sabaati gul ki ek mausam mein ja kar
ye dil ki be-sabaati to ba-yak saat khulegi
nafas ki anjuman mein is purane aaine par
teri yaadon ki dastak se nai hairat khulegi
tasarruf mein rahegi kab zarurat umr bhar ki
bacha rakhne ki KHatir kab koi mohlat khulegi
bas andaze lagae jaenge sail-e-bala ke
baha le jaegi sab kuchh to ye aafat khulegi
qayamat ka yaqin tha par nahin malum tha ye
bapa hogi qayamat jab to ye KHilqat khulegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.