mataa-e-aish jo pai to muflisi na rahi
matā.a-e-aish jo paa.ī to muflisī na rahī
tum aa ga.e to kisī chiiz kī kamī na rahī
vo lau lagī ki na āñkheñ rahīñ na dil baaqī
bujhī bujhī na rahī aur lagī lagī na rahī
ye ġham rahā dam-e-ruḳhsat tumheñ nahīñ dekhā
ab aa.e tum ki jab āñkhoñ meñ raushnī na rahī
tamām umr ye dekhā karishma-e-qismat
bigaḌ bigaḌ ke banī aur banī banī na rahī
na aa.e phir vo judā jab se ho ga.e 'nashtar'
rahā bhī kyā jo mire ghar kī raushnī na rahī
mataa-e-aish jo pai to muflisi na rahi
tum aa gae to kisi chiz ki kami na rahi
wo lau lagi ki na aankhen rahin na dil baqi
bujhi bujhi na rahi aur lagi lagi na rahi
ye gham raha dam-e-ruKHsat tumhein nahin dekha
ab aae tum ki jab aankhon mein raushni na rahi
tamam umr ye dekha karishma-e-qismat
bigaD bigaD ke bani aur bani bani na rahi
na aae phir wo juda jab se ho gae 'nashtar'
raha bhi kya jo mere ghar ki raushni na rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.