mataa-e-hijr le kar in andheron se nikal jao
matā.a-e-hijr le kar in añdheroñ se nikal jaao
mire dāman ke dāġho raushnī meñ ab to Dhal jaao
hamārī be-hisī sargoshiyāñ kartī hai har ik pal
ki jo hālāt bhī darpesh hoñ un se bahal jaao
agar jiine kī hasrat hai zamāna-sāz ho jaao
taḌapnā umr-bhar kā hai zarā sā tum sañbhal jaao
tirī qurbat mujhe begāna kar detī hai ḳhud mujh se
tamanna hai ki tum bhī ik na.e sāñche meñ Dhal jaao
mire tabdīl hone se kahīñ kuchh bhī na badlegā
agar kuchh dard rakhte ho zamāne ko badal jaao
'nasīm' un tak pahuñchnā hai jo merā dard rakhte the
mirī sarsabz socho tum ta.āqub meñ nikal jaao
mataa-e-hijr le kar in andheron se nikal jao
mere daman ke dagho raushni mein ab to Dhal jao
hamari be-hisi sargoshiyan karti hai har ek pal
ki jo haalat bhi darpesh hon un se bahal jao
agar jine ki hasrat hai zamana-saz ho jao
taDapna umr-bhar ka hai zara sa tum sanbhal jao
teri qurbat mujhe begana kar deti hai KHud mujh se
tamanna hai ki tum bhi ek nae sanche mein Dhal jao
mere tabdil hone se kahin kuchh bhi na badlega
agar kuchh dard rakhte ho zamane ko badal jao
'nasim' un tak pahunchna hai jo mera dard rakhte the
meri sarsabz socho tum taaqub mein nikal jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.