mauj-e-nashim-e-subh na josh-e-numu se tha
mauj-e-nashīm-e-sub.h na josh-e-numū se thā
jo phuul sruḳh-rū thā ḳhizāñ ke lahū se thā
tere sukūt ne ise vīrān kar diyā
dil baaġh baaġh thā to tirī guftugū se thā
ab dil ke rahguzār meñ vo chāñdnī kahāñ
apnā bhī rabt-o-zabt kisī māh-rū se thā
muddat huī ki dil kā vo gulshan ujaḌ gayā
shādāb jo tire nafas-e-mushkbū se thā
ḳhvāb-o-ḳhayāl haiñ vo nashāt-āfrīniyāñ
raqs-e-bahār dil meñ tirī aarzū se thā
sū-e-adab kahūñ ki ise be-takallufī
'rāġhib' bajā.e aap muḳhātib vo tū se thā
mauj-e-nashim-e-subh na josh-e-numu se tha
jo phul sruKH-ru tha KHizan ke lahu se tha
tere sukut ne ise viran kar diya
dil bagh bagh tha to teri guftugu se tha
ab dil ke rahguzar mein wo chandni kahan
apna bhi rabt-o-zabt kisi mah-ru se tha
muddat hui ki dil ka wo gulshan ujaD gaya
shadab jo tere nafas-e-mushkbu se tha
KHwab-o-KHayal hain wo nashat-afriniyan
raqs-e-bahaar dil mein teri aarzu se tha
su-e-adab kahun ki ise be-takallufi
'raghib' bajae aap muKHatib wo tu se tha
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 23.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.