mauj-e-sarab KHwab tamasha KHayal rakh
mauj-e-sarāb ḳhvāb tamāshā ḳhayāl rakh
zālim fareb-kār hai duniyā ḳhayāl rakh
āzadiyoñ kā zikr na kar mere sāmne
ai hukm ke ġhulām tū apnā ḳhayāl rakh
tartīb tāl-mel se bantī hai shā.erī
lafzoñ ke intiḳhāb kā thoḌā ḳhayāl rakh
us ke fusūñ se koī bhī bachne na pā.egā
badlā hai phir se vaqt ne chehra ḳhayāl rakh
tujh ko na raas aa.egā ye dhuup kā nagar
dushman banegā apnā hī saaya ḳhayāl rakh
āñkhoñ meñ aa gayā hai jo dariyā liye hue
dāman meñ bhar ke lā.egā sahrā ḳhayāl rakh
is ḳhitta-e-zamīn pe tā-umr 'sarfarāz'
bahtā rahegā ḳhuun kā dariyā ḳhayāl rakh
us kī to ḳhaas baat yahī hai ki āḳhirash
'sāgar' vo shaḳhs detā hai dhoka ḳhayāl rakh
mauj-e-sarab KHwab tamasha KHayal rakh
zalim fareb-kar hai duniya KHayal rakh
aazadiyon ka zikr na kar mere samne
ai hukm ke ghulam tu apna KHayal rakh
tartib tal-mel se banti hai shaeri
lafzon ke intiKHab ka thoDa KHayal rakh
us ke fusun se koi bhi bachne na paega
badla hai phir se waqt ne chehra KHayal rakh
tujh ko na ras aaega ye dhup ka nagar
dushman banega apna hi saya KHayal rakh
aankhon mein aa gaya hai jo dariya liye hue
daman mein bhar ke laega sahra KHayal rakh
is KHitta-e-zamin pe ta-umr 'sarfaraaz'
bahta rahega KHun ka dariya KHayal rakh
us ki to KHas baat yahi hai ki aaKHirash
'sagar' wo shaKHs deta hai dhoka KHayal rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.