mauj-o-girdab pe rakhta hai safina mera
mauj-o-girdāb pe rakhtā hai safīna merā
us ko manzūr na marnā hai na jiinā merā
mehr-e-afkār kī hotī hai navāzish jab bhī
arz-e-qirtās pe girtā hai pasīna merā
mujh ko aatā hai azāboñ kā izāla karnā
mom hai to kabhī faulād hai siina merā
ḳhādim-e-kūcha-e-jāñ ye hai sadāqat merī
chand anfās muqarrar hai mahīna merā
fāsle kī nahīñ qaa.el hai mohabbat merī
sāthiyo hai mire dil meñ hī madīna merā
vo nahīñ gardish-e-ayyām ke dar pe 'rāhat'
dekhnā hai use maqsūd qarīna merā
mauj-o-girdab pe rakhta hai safina mera
us ko manzur na marna hai na jina mera
mehr-e-afkar ki hoti hai nawazish jab bhi
arz-e-qirtas pe girta hai pasina mera
mujh ko aata hai azabon ka izala karna
mom hai to kabhi faulad hai sina mera
KHadim-e-kucha-e-jaan ye hai sadaqat meri
chand anfas muqarrar hai mahina mera
fasle ki nahin qael hai mohabbat meri
sathiyo hai mere dil mein hi madina mera
wo nahin gardish-e-ayyam ke dar pe 'rahat'
dekhna hai use maqsud qarina mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.