maujon ka bartaw dikhaun dekhoge
maujoñ kā bartāv dikhā.ūñ dekhoge
apnī TuuTī naav dikhā.ūñ dekhoge
koī bhī rut ho shāḳheñ phūltī rahtī haiñ
apnā taaza ghaav dikhā.ūñ dekhoge
chāñd se chehre par haiñ kaise kaise daaġh
āñchal to sarkāo dikhā.ūñ dekhoge
raat ke sapne din bhar ḳhuun ugalte haiñ
dhuup chaḌhe aa jaao dikhā.ūñ dekhoge
sajī sajā.ī sañvarī simTī zulfoñ meñ
kitnā hai bikhrāv dikhā.ūñ dekhoge
paspā.ī hai haar nahīñ hai zinda huuñ
apnā āḳhirī daav dikhā.ūñ dekhoge
ab tak desh kī miTTī mujh se lipTī hai
kyā hogā algāv dikhā.ūñ dekhoge
maujon ka bartaw dikhaun dekhoge
apni TuTi naw dikhaun dekhoge
koi bhi rut ho shaKHen phulti rahti hain
apna taza ghaw dikhaun dekhoge
chand se chehre par hain kaise kaise dagh
aanchal to sarkao dikhaun dekhoge
raat ke sapne din bhar KHun ugalte hain
dhup chaDhe aa jao dikhaun dekhoge
saji sajai sanwari simTi zulfon mein
kitna hai bikhraw dikhaun dekhoge
paspai hai haar nahin hai zinda hun
apna aaKHiri daw dikhaun dekhoge
ab tak desh ki miTTi mujh se lipTi hai
kya hoga algaw dikhaun dekhoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.