maujon mein maza aata ho jise girdab se larzan kya hoga
maujon mein maza aata ho jise girdab se larzan kya hoga
Hafizullah Khan Badr
MORE BYHafizullah Khan Badr
maujoñ meñ maza aatā ho jise girdāb se larzāñ kyā hogā
jo banda-e-sāhil ban ke rahe lazzat-kash-e-tūfāñ kyā hogā
jo umr kaTe be-kaifī meñ be-lutfī meñ be-rangī meñ
us qisse kī surḳhī kyā hogī us ziist kā unvāñ kyā hogā
rūdād-e-qafas kyā ḳhaak kaheñ jab tak bhī rahe ye fikr rahī
anjām-e-nasheman kyā hogā anjām-e-gulistāñ kyā hogā
hai apnā junūn-e-ishq-fazā har qaid-e-makāñ se bālā-tar
mamnūn-e-gulistāñ kyā hogā pāband-e-bayābāñ kyā hogā
begāna-e-bīm-o-rajā ho kar taqdīr banā.eñ aap apnī
ye fikr dalīl-e-pastī hai anjām-e-gulistāñ kyā hogā
vaañ zid hai ki be-māñge na mile yaañ husn-e-talab bhī hai bid.at
rahmat ke liye bhī sharteñ hoñ to afv kā armāñ kyā hogā
ye tarz-e-jahāñ ye ḳhūn-e-vafā ye ham-nafasoñ kī be-mehrī
takmīl-e-tamannā ho na sakī to ziist kā sāmāñ kyā hogā
rangīn javānī hī kab thī ḳhair ab to buḌhāpā aaya hai
chālīs ke peThe meñ āḳhir ab 'badr' ġhazal-ḳhvāñ kyā hogā
maujon mein maza aata ho jise girdab se larzan kya hoga
jo banda-e-sahil ban ke rahe lazzat-kash-e-tufan kya hoga
jo umr kaTe be-kaifi mein be-lutfi mein be-rangi mein
us qisse ki surKHi kya hogi us zist ka unwan kya hoga
rudad-e-qafas kya KHak kahen jab tak bhi rahe ye fikr rahi
anjam-e-nasheman kya hoga anjam-e-gulistan kya hoga
hai apna junun-e-ishq-faza har qaid-e-makan se baala-tar
mamnun-e-gulistan kya hoga paband-e-bayaban kya hoga
begana-e-bim-o-raja ho kar taqdir banaen aap apni
ye fikr dalil-e-pasti hai anjam-e-gulistan kya hoga
wan zid hai ki be-mange na mile yan husn-e-talab bhi hai bidat
rahmat ke liye bhi sharten hon to afw ka arman kya hoga
ye tarz-e-jahan ye KHun-e-wafa ye ham-nafason ki be-mehri
takmil-e-tamanna ho na saki to zist ka saman kya hoga
rangin jawani hi kab thi KHair ab to buDhapa aaya hai
chaalis ke peThe mein aaKHir ab 'badr' ghazal-KHwan kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.