maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain
maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
maujoñ se Takrā.e haiñ ham tūfānoñ se khele haiñ
ik jiine kī ḳhātir ham ne kyā kyā sadme jhele haiñ
qalb-o-nazar ke afsāne ye raunaq-e-bazm-e-aish-o-tarab
jiite jī kī bāteñ haiñ sab jiite jī ke mele haiñ
un ke dam se raunaq-e-hastī un ke dam se ye duniyā
ḳhāk-basar haiñ zāhir meñ jo log baḌe albele haiñ
ye apnī himmat thī ham har mauj-e-balā se paar hue
khel bahut dil-doz the varna taqdīr ne khele haiñ
sochte haiñ ham tishna-laboñ ko kis ne aaj navāzā hai
kis ne apnī mast nazar se rangīñ jaam uñDele haiñ
un logoñ par kaash tarī kuchh chashm-e-ināyat ho jaatī
jin logoñ ne terī ḳhātir barsoñ sadme jhele haiñ
'āsī' ziist kī rāhoñ meñ mil jaa.e kisī kā saath magar
ye taqdīr kī bāteñ haiñ sab ye taqdīr ke mele haiñ
maujon se Takrae hain hum tufanon se khele hain
ek jine ki KHatir hum ne kya kya sadme jhele hain
qalb-o-nazar ke afsane ye raunaq-e-bazm-e-aish-o-tarab
jite ji ki baaten hain sab jite ji ke mele hain
un ke dam se raunaq-e-hasti un ke dam se ye duniya
KHak-basar hain zahir mein jo log baDe albele hain
ye apni himmat thi hum har mauj-e-bala se par hue
khel bahut dil-doz the warna taqdir ne khele hain
sochte hain hum tishna-labon ko kis ne aaj nawaza hai
kis ne apni mast nazar se rangin jam unDele hain
un logon par kash tari kuchh chashm-e-inayat ho jati
jin logon ne teri KHatir barson sadme jhele hain
'asi' zist ki rahon mein mil jae kisi ka sath magar
ye taqdir ki baaten hain sab ye taqdir ke mele hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.