maujud jo saqi hai to phir kya nahin milta
maujud jo saqi hai to phir kya nahin milta
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
maujūd jo saaqī hai to phir kyā nahīñ miltā
ham us ke haiñ kyā sāġhar-o-mīnā nahīñ miltā
ye ashk kā qatra hai mire dīda-e-tar kā
aisā to kabhī gauhar-e-yaktā nahīñ miltā
kyā ḳhaak nazar aa.e sar-e-tūr bhalā ab
is aañkh kā ab koī bhī muusā nahīñ miltā
kyoñ chhānte haiñ ḳhaak bayābān kī āshiq
majnūñ kī tarah nāqa-e-lailā nahīñ miltā
apne ko agar hai to ḳhudā par hai bharosa
duniyā meñ koī aur sahārā nahīñ miltā
muusā hī rahe haa.e na vo tuur hai baaqī
ai aañkh kahīñ ab vo tajallā nahīñ miltā
is ālam-e-takvīñ meñ ayaañ jalve haiñ lekin
ab koī inheñ dekhne vaalā nahīñ miltā
har zarre meñ hai nuur chamaktā huā us kā
lekin koī ab mahv-e-tamāshā nahīñ miltā
niyyat hai agar ḳhair to phir is ko kamī kyā
insān ko kyā rutba-e-ālī nahīñ miltā
māñge jo ba-iḳhlās koī apne ḳhudā se
kyā chiiz nahīñ detā vo kyā kyā nahīñ miltā
ai 'shād' agar dard-e-mohabbat nahīñ dil meñ
ye baat rahe yaad masīhā nahīñ miltā
maujud jo saqi hai to phir kya nahin milta
hum us ke hain kya saghar-o-mina nahin milta
ye ashk ka qatra hai mere dida-e-tar ka
aisa to kabhi gauhar-e-yakta nahin milta
kya KHak nazar aae sar-e-tur bhala ab
is aankh ka ab koi bhi musa nahin milta
kyon chhante hain KHak bayaban ki aashiq
majnun ki tarah naqa-e-laila nahin milta
apne ko agar hai to KHuda par hai bharosa
duniya mein koi aur sahaara nahin milta
musa hi rahe hae na wo tur hai baqi
ai aankh kahin ab wo tajalla nahin milta
is aalam-e-takwin mein ayan jalwe hain lekin
ab koi inhen dekhne wala nahin milta
har zarre mein hai nur chamakta hua us ka
lekin koi ab mahw-e-tamasha nahin milta
niyyat hai agar KHair to phir is ko kami kya
insan ko kya rutba-e-ali nahin milta
mange jo ba-iKHlas koi apne KHuda se
kya chiz nahin deta wo kya kya nahin milta
ai 'shad' agar dard-e-mohabbat nahin dil mein
ye baat rahe yaad masiha nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.