mausam achchha hai rut suhani hai
mausam achchhā hai rut suhānī hai
mere lab par tirī kahānī hai
dukh ho yā sukh ho jhelnā hai use
zindagānī to zindagānī hai
aaj bādal haiñ bād-o-bārāñ hai
haath meñ jām-e-arġhavānī hai
jis ne sarshār umr bhar rakkhā
zāhido vo merī javānī hai
log kahte haiñ zindagī jis ko
ek qissa hai ik kahānī hai
zindagī ek said hai jis kī
taak meñ marg-e-nā-gahānī hai
sher kyā zindagī kā naġhma haiñ
maiñ huuñ aur merī gul-fishānī hai
dil kī haiñ vārdāt sher mire
marsiya hai ki nauha-ḳhvānī hai
husn se umr bhar kā yārāna
husn to merā yār-e-jānī hai
maiñ samajhtā huuñ zindagī hai amar
log kahte haiñ ziist faanī hai
'faiz' ab to sañbhal nahīñ paate
nā-tavānī sī nā-tavānī hai
mausam achchha hai rut suhani hai
mere lab par teri kahani hai
dukh ho ya sukh ho jhelna hai use
zindagani to zindagani hai
aaj baadal hain baad-o-baran hai
hath mein jam-e-arghawani hai
jis ne sarshaar umr bhar rakkha
zahido wo meri jawani hai
log kahte hain zindagi jis ko
ek qissa hai ek kahani hai
zindagi ek said hai jis ki
tak mein marg-e-na-gahani hai
sher kya zindagi ka naghma hain
main hun aur meri gul-fishani hai
dil ki hain wardat sher mere
marsiya hai ki nauha-KHwani hai
husn se umr bhar ka yarana
husn to mera yar-e-jaani hai
main samajhta hun zindagi hai amar
log kahte hain zist fani hai
'faiz' ab to sanbhal nahin pate
na-tawani si na-tawani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.