mausam aisa ho jata hai manzar aisa ho jata hai
mausam aisā ho jaatā hai manzar aisā ho jaatā hai
dariyā bahtā dariyā logo patthar aisā ho jaatā hai
log gharoñ meñ rahte rahte be-ghar bhī to ho jaate haiñ
aksar yuuñ bhī ho jaatā hai aksar aisā ho jaatā hai
hū-yā-hū ke taar bajeñ to duniyā chham-chham naach uThtī hai
is lamha to har insān qalandar aisā ho jaatā hai
ik mausam jo aañkh ke andar raushaniyāñ sī bhar detā hai
āḳhir aañkh bujhā detā hai kāfir aisā ho jaatā hai
dard kā mausam jab khultā hai bārish aisī ho jaatī hai
dil kā ḳhālī sahrā sabz samundar aisā ho jaatā hai
nigah hasīn agar ho 'shaukat' hur ke jauhar khul jaate haiñ
jhuuT kā chehra ibn-e-sa.ad ke lashkar aisā ho jaatā hai
mausam aisa ho jata hai manzar aisa ho jata hai
dariya bahta dariya logo patthar aisa ho jata hai
log gharon mein rahte rahte be-ghar bhi to ho jate hain
aksar yun bhi ho jata hai aksar aisa ho jata hai
hu-ya-hu ke tar bajen to duniya chham-chham nach uThti hai
is lamha to har insan qalandar aisa ho jata hai
ek mausam jo aankh ke andar raushaniyan si bhar deta hai
aaKHir aankh bujha deta hai kafir aisa ho jata hai
dard ka mausam jab khulta hai barish aisi ho jati hai
dil ka KHali sahra sabz samundar aisa ho jata hai
nigah hasin agar ho 'shaukat' hur ke jauhar khul jate hain
jhuT ka chehra ibn-e-sad ke lashkar aisa ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.