mausam bhi yaad-e-yar mein dil-gir ho gaya
mausam bhī yād-e-yār meñ dil-gīr ho gayā
tanhā.iyoñ se merī baġhal-gīr ho gayā
dāman pe mere daaġh lagāne kī zid meñ vo
kirdār kī vo apne hī tash.hīr ho gayā
bachchoñ ne mujh ko ghar se nikalne nahīñ diyā
rishta ye mere paañv kī zanjīr ho gayā
marne se us ko apne kabhī Dar nahīñ lagā
jiinā jab us ke vāste ta.azīr ho gayā
allāh ne rat-jagoñ kī duā.eñ qubūl kī
vo ḳhvāb mere ḳhvāb kī ta.abīr ho gayā
aañsū meñ Dhal ke zer-e-lahad kho gayā kahīñ
yā dard ban ke dil se baġhal-gīr ho gayā
'sīmā' ulajh ga.ī hai siyāsat ke jaal meñ
dil kā mo.āmla thā jo gambhīr ho gayā
mausam bhi yaad-e-yar mein dil-gir ho gaya
tanhaiyon se meri baghal-gir ho gaya
daman pe mere dagh lagane ki zid mein wo
kirdar ki wo apne hi tashhir ho gaya
bachchon ne mujh ko ghar se nikalne nahin diya
rishta ye mere panw ki zanjir ho gaya
marne se us ko apne kabhi Dar nahin laga
jina jab us ke waste tazir ho gaya
allah ne rat-jagon ki duaen qubul ki
wo KHwab mere KHwab ki tabir ho gaya
aansu mein Dhal ke zer-e-lahad kho gaya kahin
ya dard ban ke dil se baghal-gir ho gaya
'sima' ulajh gai hai siyasat ke jal mein
dil ka moamla tha jo gambhir ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.