mausam-e-bahaar mein daraKHt pile paD gae
mausam-e-bahār meñ daraḳht piile paḌ ga.e
kisī ko chuum chuum ke gulāb niile paḌ ga.e
ye kyā huā ki ham se kuchh muzāhimat na ho sakī
hamāre hāth-pāoñ apne aap Dhīle paḌ ga.e
mizāj meñ bhī aag thī ajiib dauḌ-bhāg thī
tabhī to saare jism ke masām giile paḌ ga.e
masāfatoñ ke dam-qadam havā hamārī ham-qadam
zamīñ pe āsmān tak buland Tiile paḌ ga.e
hamāre iḳhtiyār meñ kahāñ thā ḳhud ko roknā
havā meñ aisā kaif thā shajar nashīle paḌ ga.e
vo ik surīlā shaḳhs jab nikal gayā thā shahr se
to be-suroñ ke naam bhī yahāñ surīle paḌ ga.e
tab us ne mere bāñkpan ko hausla nayā diyā
jab us ke pīchhe shahr ke ka.ī sajīle paḌ ga.e
musālahat kī koshisheñ adāvatoñ meñ Dhal ga.iiñ
hamāre us ke darmiyāñ ka.ī qabīle paḌ ga.e
mausam-e-bahaar mein daraKHt pile paD gae
kisi ko chum chum ke gulab nile paD gae
ye kya hua ki hum se kuchh muzahimat na ho saki
hamare hath-paon apne aap Dhile paD gae
mizaj mein bhi aag thi ajib dauD-bhag thi
tabhi to sare jism ke masam gile paD gae
masafaton ke dam-qadam hawa hamari ham-qadam
zamin pe aasman tak buland Tile paD gae
hamare iKHtiyar mein kahan tha KHud ko rokna
hawa mein aisa kaif tha shajar nashile paD gae
wo ek surila shaKHs jab nikal gaya tha shahr se
to be-suron ke nam bhi yahan surile paD gae
tab us ne mere bankpan ko hausla naya diya
jab us ke pichhe shahr ke kai sajile paD gae
musalahat ki koshishen adawaton mein Dhal gain
hamare us ke darmiyan kai qabile paD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.