mausam-e-hijr ki dil-soz nishani dega
mausam-e-hijr ki dil-soz nishani dega
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
mausam-e-hijr kī dil-soz nishānī degā
ishq kā dard hī unvān-e-kahānī degā
sang-e-be-māya hai shak aur yaqīñ hai gauhar
vaqt-e-taqrīr yahī shola-bayānī degā
khul na jaa.e kahīñ maktūb se rāz-e-pinhāñ
jab vo degā koī paiġhām zabānī degā
nafs-e-ammāra ko quvvat se kuchal de apnī
varna taklīf tujhe ahd-e-javānī degā
siikh le us ko baratne kā salīqa 'sāhil'
lafz be-jān sahī husn-e-ma.ānī degā
mausam-e-hijr ki dil-soz nishani dega
ishq ka dard hi unwan-e-kahani dega
sang-e-be-maya hai shak aur yaqin hai gauhar
waqt-e-taqrir yahi shola-bayani dega
khul na jae kahin maktub se raaz-e-pinhan
jab wo dega koi paigham zabani dega
nafs-e-ammara ko quwwat se kuchal de apni
warna taklif tujhe ahd-e-jawani dega
sikh le us ko baratne ka saliqa 'sahil'
lafz be-jaan sahi husn-e-maani dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.