mausam-e-Khaar ya bahaar mein hai
mausam-e-ḳhār yā bahār meñ hai
zindagī tere iḳhtiyār meñ hai
jiit kar ye mujhe huā ehsās
zindagī kā mazā to haar meñ hai
pyaar kī bāteñ log bhuul ga.e
ab har ik shaḳhs intishār meñ hai
ab kisī par yaqīn ho kaise
jis ko dekho vo lūT-mār meñ hai
aaj kah denā tum 'salīm' us se
jo bhī is qalb-e-be-qarār meñ hai
mausam-e-KHar ya bahaar mein hai
zindagi tere iKHtiyar mein hai
jit kar ye mujhe hua ehsas
zindagi ka maza to haar mein hai
pyar ki baaten log bhul gae
ab har ek shaKHs intishaar mein hai
ab kisi par yaqin ho kaise
jis ko dekho wo luT-mar mein hai
aaj kah dena tum 'salim' us se
jo bhi is qalb-e-be-qarar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.