mausam hai bahaaron ka har ek zaKHm hara hai
mausam hai bahāroñ kā har ik zaḳhm harā hai
ehsās-e-ġham-e-soz-e-darūñ jaag uThā hai
baḌh jaa.e na betābī-e-dil sabr kī had se
guzre hue lamhoñ ne tumheñ yaad kiyā hai
badmast fazāoñ meñ bikhartī huī ḳhushbū
ai dost ye shāyad tire aane kā patā hai
ik tum se hī dil ko mire mil jaatī hai Dhāras
varna yahāñ har shaḳhs bahut mujh se ḳhafā hai
apnoñ ne hī dī hai mujhe har moḌ pe Thokar
nāzuk thā mirā shīsha-e-dil TuuT gayā hai
ab bhuul gayā āriz-o-lab gesū-o-abrū
hoñToñ kā tabassum tire bas yaad rahā hai
sunte haiñ siyah-rātoñ meñ luuTe ga.e sab log
'bismil' to magar din ke ujāle meñ luTā hai
mausam hai bahaaron ka har ek zaKHm hara hai
ehsas-e-gham-e-soz-e-darun jag uTha hai
baDh jae na betabi-e-dil sabr ki had se
guzre hue lamhon ne tumhein yaad kiya hai
badmast fazaon mein bikharti hui KHushbu
ai dost ye shayad tere aane ka pata hai
ek tum se hi dil ko mere mil jati hai Dhaaras
warna yahan har shaKHs bahut mujh se KHafa hai
apnon ne hi di hai mujhe har moD pe Thokar
nazuk tha mera shisha-e-dil TuT gaya hai
ab bhul gaya aariz-o-lab gesu-o-abru
honTon ka tabassum tere bas yaad raha hai
sunte hain siyah-raaton mein luTe gae sab log
'bismil' to magar din ke ujale mein luTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.