mausam ke pas koi KHabar moatabar bhi ho
mausam ke paas koī ḳhabar mo'atabar bhī ho
mauj-e-havā ke saath tirā nāma-bar bhī ho
sun legā terī chaap to dhaḌkegā der tak
laakh apne gird-o-pesh se dil be-ḳhabar bhī ho
arzāñ se log bhāgte us ko to ġham nahīñ
lāzim nahīñ ki husn meñ husn-e-nazar bhī ho
barsoñ se jis makāñ meñ merī būd-o-bāsh hai
ab kyā ye lāzmī hai vahī merā ghar bhī ho
sustā.e jis ke saa.e meñ har aarzū mirī
is dil ke sahn meñ koī aisā shajar bhī ho
shah-rāh-e-raushnī pe chalā hai jo mere saath
tārīk rāstoñ meñ mirā ham-safar bhī ho
kitne hī phuul chehre dhuāñ ban ke rah ga.e
is sānehe se kaash koī bā-ḳhabar bhī ho
us ke liye to daav pe ḳhud ko lagā deñ ham
tadbīr vo batāo ki jo kārgar bhī ho
jaage hue guloñ hī se 'shabnam' ko pyaar hai
mumkin hai koī shai tire zer-e-asar bhī ho
mausam ke pas koi KHabar mo'atabar bhi ho
mauj-e-hawa ke sath tera nama-bar bhi ho
sun lega teri chap to dhaDkega der tak
lakh apne gird-o-pesh se dil be-KHabar bhi ho
arzan se log bhagte us ko to gham nahin
lazim nahin ki husn mein husn-e-nazar bhi ho
barson se jis makan mein meri bud-o-bash hai
ab kya ye lazmi hai wahi mera ghar bhi ho
sustae jis ke sae mein har aarzu meri
is dil ke sahn mein koi aisa shajar bhi ho
shah-rah-e-raushni pe chala hai jo mere sath
tarik raston mein mera ham-safar bhi ho
kitne hi phul chehre dhuan ban ke rah gae
is sanehe se kash koi ba-KHabar bhi ho
us ke liye to daw pe KHud ko laga den hum
tadbir wo batao ki jo kargar bhi ho
jage hue gulon hi se 'shabnam' ko pyar hai
mumkin hai koi shai tere zer-e-asar bhi ho
- Book : Shab Zaad (Pg. 93)
- Author : Shabnam Shakeel
- Publication : Mavaraa Publications (1978)
- Edition : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.