mausam ke sath ruKH bhi badalne lagi hawa
mausam ke saath ruḳh bhī badalne lagī havā
vīrān jāliyoñ pe thirakne lagī havā
kamre kī khiḌkiyoñ pe chamakne lagī hai dhuup
parbat kī sīḌhiyoñ se utarne lagī havā
jangal ke chaar samt se aa.ī huī vo guuñj
lamha-ba-lamha jaise bipharne lagī havā
dekhā mujhe jo bārhā khiḌkī ke ās-pās
merī galī meñ roz Thaharne lagī havā
ābādiyoñ ke zor pe baḌhtā gayā ġhurūr
ḳhāmoshiyoñ ke kaan kutarne lagī havā
chupke se ijtināb kā chehra lagā liyā
merī ġhazal ke ruup se Darne lagī havā
mausam ke intizār meñ 'ḳhātir' ho kyoñ malūl
dekho vo vādiyoñ meñ utarne lagī havā
mausam ke sath ruKH bhi badalne lagi hawa
viran jaliyon pe thirakne lagi hawa
kamre ki khiDkiyon pe chamakne lagi hai dhup
parbat ki siDhiyon se utarne lagi hawa
jangal ke chaar samt se aai hui wo gunj
lamha-ba-lamha jaise bipharne lagi hawa
dekha mujhe jo barha khiDki ke aas-pas
meri gali mein roz Thaharne lagi hawa
aabaadiyon ke zor pe baDhta gaya ghurur
KHamoshiyon ke kan kutarne lagi hawa
chupke se ijtinab ka chehra laga liya
meri ghazal ke rup se Darne lagi hawa
mausam ke intizar mein 'KHatir' ho kyon malul
dekho wo wadiyon mein utarne lagi hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.