mausam ko bhi waqar badal jaana chahiye
mausam ko bhī 'vaqār' badal jaanā chāhiye
kholī haiñ khiḌkiyāñ to havā aanā chāhiye
bejā anā se aur ulajhte haiñ mas.ale
aayā nahīñ hai vo to mujhe jaanā chāhiye
sach ko bhī jhuuT jhuuT ko sach kar dikhāoge
bas ik amīr-e-shahr se yārāna chāhiye
sūraj kā faiz aam hai par vo bhī kyā kare
rauzan to ghar meñ koī nazar aanā chāhiye
ham jaise log yuuñ to baḌe saḳht-jān haiñ
ik vaar chāhiye so sharīfāna chāhiye
mausam ko bhi 'waqar' badal jaana chahiye
kholi hain khiDkiyan to hawa aana chahiye
beja ana se aur ulajhte hain masale
aaya nahin hai wo to mujhe jaana chahiye
sach ko bhi jhuT jhuT ko sach kar dikhaoge
bas ek amir-e-shahr se yarana chahiye
suraj ka faiz aam hai par wo bhi kya kare
rauzan to ghar mein koi nazar aana chahiye
hum jaise log yun to baDe saKHt-jaan hain
ek war chahiye so sharifana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.