mausam ne gulabon ke angare hi baKHshe hain
mausam ne gulāboñ ke añgāre hī baḳhshe haiñ
uThtā hai dhuāñ dil se ham aag meñ jalte haiñ
yuuñ un ke darīche tak jaatī hai nazar jaise
paanī ke liye dahqāñ ākāsh ko takte haiñ
is vaqt bichhaḌte ho kyoñ rāh-e-vafā meñ tum
kuchh aur chalo sāthī aage ka.ī raste haiñ
ye raat hai sāvan kī jañgal meñ akelā huuñ
bijlī bhī chamaktī hai bādal bhī baraste haiñ
'asrār' na kar shikva logoñ se zamāne kā
āfāt meñ tap kar hī insān nikharte haiñ
mausam ne gulabon ke angare hi baKHshe hain
uThta hai dhuan dil se hum aag mein jalte hain
yun un ke dariche tak jati hai nazar jaise
pani ke liye dahqan aakash ko takte hain
is waqt bichhaDte ho kyon rah-e-wafa mein tum
kuchh aur chalo sathi aage kai raste hain
ye raat hai sawan ki jangal mein akela hun
bijli bhi chamakti hai baadal bhi baraste hain
'asrar' na kar shikwa logon se zamane ka
aafat mein tap kar hi insan nikharte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.