mausamon ke dukh ne dariya se rawani chhin li
mausamoñ ke dukh ne dariyā se ravānī chhīn lī
vaqt ke aaseb ne ham se javānī chhīn lī
ham to phir bhī be-hunar the hijratoñ ke ḳhauf ne
tā.eroñ se ḳhvāhish-e-naql-e-makānī chhīn lī
pahle mere gird us ne ḳhauf ke jaale bune
phir mire sar se ridā-e-āsmānī chhīn lī
aa.ine kā TuuT jaanā ik alāmat hai ki aaj
zindagī ne ham se apnī har nishānī chhīn lī
zehn ke saare darīchoñ ko muqaffal kar diyā
zabt ne mujh se mirī jādū-bayānī chhīn lī
mujh ko jin āñkhoñ ne jiine kā hunar baḳhshā 'nazīr'
aaj un āñkhoñ ne mujh se zindagānī chhīn lī
mausamon ke dukh ne dariya se rawani chhin li
waqt ke aaseb ne hum se jawani chhin li
hum to phir bhi be-hunar the hijraton ke KHauf ne
taeron se KHwahish-e-naql-e-makani chhin li
pahle mere gird us ne KHauf ke jale bune
phir mere sar se rida-e-asmani chhin li
aaine ka TuT jaana ek alamat hai ki aaj
zindagi ne hum se apni har nishani chhin li
zehn ke sare darichon ko muqaffal kar diya
zabt ne mujh se meri jadu-bayani chhin li
mujh ko jin aankhon ne jine ka hunar baKHsha 'nazir'
aaj un aankhon ne mujh se zindagani chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.