mausamon ke shahr mein pani ke ghar ugne lage
mausamoñ ke shahr meñ paanī ke ghar ugne lage
chup havā kī kokh se tanhā safar ugne lage
haath kī rekhāoñ meñ sākit hue ma.anī-o-harf
uñgliyoñ kī por pe ḳhuuñ ke shajar ugne lage
ḳhvāhishoñ kī aag meñ jaltā badan taptā lahū
sochte jismoñ kī shāḳhoñ par hunar ugne lage
merī miTTī ne mujhe pahchān baḳhshī thī magar
aañkh kī putlī meñ ujḌe ḳhvāb ghar ugne lage
zindagī kī dauḌ meñ 'tāhir' akelā to nahīñ
vaqt kī raftār meñ zaḳhmoñ ke par ugne lage
mausamon ke shahr mein pani ke ghar ugne lage
chup hawa ki kokh se tanha safar ugne lage
hath ki rekhaon mein sakit hue mani-o-harf
ungliyon ki por pe KHun ke shajar ugne lage
KHwahishon ki aag mein jalta badan tapta lahu
sochte jismon ki shaKHon par hunar ugne lage
meri miTTi ne mujhe pahchan baKHshi thi magar
aankh ki putli mein ujDe KHwab ghar ugne lage
zindagi ki dauD mein 'tahir' akela to nahin
waqt ki raftar mein zaKHmon ke par ugne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.