mausamon ki tarah badla main ki tu
mausamoñ kī tarah badlā maiñ ki tū
kaun kis ko bhuul baiThā maiñ ki tū
sāmne dariyā magar pābandiyāñ
ek ik qatre ko tarsā maiñ ki tū
pāka.i-e-dāmāñ ke afsāne na kah
kaun hai har samt rusvā maiñ ki tū
justujū kis ko na.ī duniyā kī thī
dasht meñ sho.aloñ ke bhaTkā maiñ ki tū
zindagī ke saḳht-o-sañgīñ moḌ par
kaun thā kis kā sahārā maiñ ki tū
jis meñ donoñ kī bhalā.ī thī nihāñ
aise har nukte ko samjhā maiñ ki tū
jāgtī āñkhoñ se 'bismil' āj-kal
dekhtā hai kaun sapnā maiñ ki tū
mausamon ki tarah badla main ki tu
kaun kis ko bhul baiTha main ki tu
samne dariya magar pabandiyan
ek ek qatre ko tarsa main ki tu
pakai-e-daman ke afsane na kah
kaun hai har samt ruswa main ki tu
justuju kis ko nai duniya ki thi
dasht mein shoalon ke bhaTka main ki tu
zindagi ke saKHt-o-sangin moD par
kaun tha kis ka sahaara main ki tu
jis mein donon ki bhalai thi nihan
aise har nukte ko samjha main ki tu
jagti aankhon se 'bismil' aaj-kal
dekhta hai kaun sapna main ki tu
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 25)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.