mausamon wale nae dana o pani wale
mausamoñ vaale na.e daana o paanī vaale
ham vahī log vahī naql-e-makānī vaale
haañ bachā leñge yahī shahr ko jal jaane se
kuchh to baaqī haiñ abhī shahr meñ paanī vaale
rañg kyā ḳhuub jamegā jo kabhī mil baiTheñ
aur kuchh log tabī'at kī ravānī vaale
is liye aur bhulā detā huuñ vā'de aksar
mujh ko milte hī nahīñ yād-dahānī vaale
koī sāme.a jo mile mujh ko ḳhabar kar denā
haiñ mire shahr meñ sab log kahānī vaale
mausamon wale nae dana o pani wale
hum wahi log wahi naql-e-makani wale
han bacha lenge yahi shahr ko jal jaane se
kuchh to baqi hain abhi shahr mein pani wale
rang kya KHub jamega jo kabhi mil baiThen
aur kuchh log tabi'at ki rawani wale
is liye aur bhula deta hun wa'de aksar
mujh ko milte hi nahin yaad-dahani wale
koi samea jo mile mujh ko KHabar kar dena
hain mere shahr mein sab log kahani wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.