maut aandhi hai magar un ko saba lagti hai
maut āñdhī hai magar un ko sabā lagtī hai
zindagī dasht ke māroñ ko sazā lagtī hai
dhīre-dhīre jo sisaktā hai diyā kamre meñ
ye yaqīnan kahīñ sho.ale ko havā lagtī hai
chand sikkoñ ke evaz log duā dete haiñ
kyā yuuñ ḳhairāt ke badle meñ duā lagtī hai
raqs kartā hai taḌaptā hai manātā hai use
chāñdnī jhiil ke paanī se ḳhafā lagtī hai
faqr kahtā hai ki shīshe ko tarāshā jaa.e
nek banñe meñ to bas ek qabā lagtī hai
ghar kī dīvār kā saaya bhī jalātā hai badan
ye jagah ab mujhe āseb-zada lagtī hai
maut aandhi hai magar un ko saba lagti hai
zindagi dasht ke maron ko saza lagti hai
dhire-dhire jo sisakta hai diya kamre mein
ye yaqinan kahin shoale ko hawa lagti hai
chand sikkon ke ewaz log dua dete hain
kya yun KHairaat ke badle mein dua lagti hai
raqs karta hai taDapta hai manata hai use
chandni jhil ke pani se KHafa lagti hai
faqr kahta hai ki shishe ko tarasha jae
nek banne mein to bas ek qaba lagti hai
ghar ki diwar ka saya bhi jalata hai badan
ye jagah ab mujhe aaseb-zada lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.