maut achchhi buri hai ruswai
maut achchhī burī hai rusvā.ī
baat mushkil se ye samajh aa.ī
dard-o-ġham ab bure nahīñ lagte
muddatoñ se haiñ ham shanāsā.ī
is jahāñ kī yahī haqīqat hai
aaj dushman hai bhaa.ī kā bhaa.ī
jab mulāqāt ḳhud se kī ḳhud hī
bhiiḌ se hai bhalī ye tanhā.ī
baat achchhe dinoñ kī thī lekin
vo na aa.e na maut hī aa.ī
vaqt aisā bhī ziist meñ aatā
jab na dikhtī hai apnī parchhā.ī
maut se Dar 'dharam' zarā na rahā
zindagī us jagah pe le aa.ī
maut achchhi buri hai ruswai
baat mushkil se ye samajh aai
dard-o-gham ab bure nahin lagte
muddaton se hain hum shanasai
is jahan ki yahi haqiqat hai
aaj dushman hai bhai ka bhai
jab mulaqat KHud se ki KHud hi
bhiD se hai bhali ye tanhai
baat achchhe dinon ki thi lekin
wo na aae na maut hi aai
waqt aisa bhi zist mein aata
jab na dikhti hai apni parchhai
maut se Dar 'dharam' zara na raha
zindagi us jagah pe le aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.