maut behtar hai aise jine se
maut behtar hai aise jiine se
dil meñ kuchh bhī nahīñ qarīne se
ḳhushk āñkheñ kahāñ jhalaktī haiñ
dil meñ utre haiñ kuchh safīne se
ham ne kyā chhū liyā tasavvur meñ
khankhanāte haiñ ābgīne se
ham ko fursat nahīñ ghaḌī-bhar kī
pairahan zindagī kā siine se
ek lamha kā tajraba behtar
roz-o-shab saal aur mahīne se
ek maiñ to huuñ muntashir ghar meñ
varna har chiiz hai qarīne se
aur añdherā baḌhā do āñgan meñ
raushnī aa rahī hai ziine se
maut behtar hai aise jine se
dil mein kuchh bhi nahin qarine se
KHushk aankhen kahan jhalakti hain
dil mein utre hain kuchh safine se
hum ne kya chhu liya tasawwur mein
khankhanate hain aabgine se
hum ko fursat nahin ghaDi-bhar ki
pairahan zindagi ka sine se
ek lamha ka tajraba behtar
roz-o-shab sal aur mahine se
ek main to hun muntashir ghar mein
warna har chiz hai qarine se
aur andhera baDha do aangan mein
raushni aa rahi hai zine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.