maut bhi humse KHafa ho jaise
maut bhī ham se ḳhafā ho jaise
zindagī ek sazā ho jaise
dil ke vīrāne meñ vo yuuñ aa.e
phuul sahrā meñ khilā ho jaise
apnī barbādī pe sharminda huuñ
ye bhī merī hī ḳhatā ho jaise
ahmiyat ye hai tumhāre ḳhat kī
merī qismat kā likhā ho jaise
dil mirā yuuñ huā pāra-pāra
aa.ina TuuT gayā ho jaise
tum mujhe haath uThā kar koso
koī masrūf-e-duā ho jaise
un ke chehre pe vo ashkoñ kī namī
phuul shabnam se dhulā ho jaise
be-vajah mujh se bigaḌ baiThe haiñ
maiñ ne kuchh un ko kahā ho jaise
na tavajjoh na payām aur salām
mujh se vo ruuTh gayā ho jaise
mauj-e-bebāk kī mānind haiñ vo
koī tūfāñ meñ palā ho jaise
vo ḳhafā ho ke bahut sharmā.e
aa.ina dekh liyā ho jaise
aise anjān bane vo 'tal.at'
merā shikva na sunā ho jaise
maut bhi hum se KHafa ho jaise
zindagi ek saza ho jaise
dil ke virane mein wo yun aae
phul sahra mein khila ho jaise
apni barbaadi pe sharminda hun
ye bhi meri hi KHata ho jaise
ahmiyat ye hai tumhaare KHat ki
meri qismat ka likha ho jaise
dil mera yun hua para-para
aaina TuT gaya ho jaise
tum mujhe hath uTha kar koso
koi masruf-e-dua ho jaise
un ke chehre pe wo ashkon ki nami
phul shabnam se dhula ho jaise
be-wajah mujh se bigaD baiThe hain
main ne kuchh un ko kaha ho jaise
na tawajjoh na payam aur salam
mujh se wo ruTh gaya ho jaise
mauj-e-bebak ki manind hain wo
koi tufan mein pala ho jaise
wo KHafa ho ke bahut sharmae
aaina dekh liya ho jaise
aise anjaan bane wo 'talat'
mera shikwa na suna ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.