maut hai aur maut ke KHadshat hain
maut hai aur maut ke ḳhadshāt haiñ
sansanī hai an-dikhe ḳhadshāt haiñ
ḳhauf phailā hai vabā ke ruup meñ
qarya qarya pal rahe ḳhadshāt haiñ
gar koī tiryāq hai vo hai yaqīñ
zahr kī sūrat liye ḳhadshāt haiñ
is sadī ke aadmī to haiñ ḳhudā
tū ne hī paidā kiye ḳhadshāt haiñ
dā.era dar dā.era tashkīk hai
be-tarah phaile hue ḳhadshāt haiñ
tujh meñ himmat hai to in ko maat de
ai na.e insāñ na.e ḳhadshāt haiñ
vo galī ke moḌ par hai muntazir
Dar rahā huuñ maiñ mire ḳhadshāt haiñ
maut hai aur maut ke KHadshat hain
sansani hai an-dikhe KHadshat hain
KHauf phaila hai waba ke rup mein
qarya qarya pal rahe KHadshat hain
gar koi tiryaq hai wo hai yaqin
zahr ki surat liye KHadshat hain
is sadi ke aadmi to hain KHuda
tu ne hi paida kiye KHadshat hain
daera dar daera tashkik hai
be-tarah phaile hue KHadshat hain
tujh mein himmat hai to in ko mat de
ai nae insan nae KHadshat hain
wo gali ke moD par hai muntazir
Dar raha hun main mere KHadshat hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.