maut hai tere marizon ko shifa ho jaana
maut hai tere marīzoñ ko shifā ho jaanā
qahr hai qaid-e-masā.ib se rihā ho jaanā
haa.e mushtāq-e-shahādat se ḳhafā ho jaanā
teġh kā qismat-e-arbāb-e-vafā ho jaanā
ahl-e-duniyā mirī qismat falak-e-nā-hanjār
sab to rūThe haiñ kahīñ tum na ḳhafā ho jaanā
sab jafāoñ kī talāfī hai sitam-kash ke liye
tum se va.ade koī bhūle se vafā ho jaanā
apnī hālat kī ḳhabar kuchh nahīñ achchhā hai yahī
bā.is-e-marg hai ehsās-e-baqā ho jaanā
bahr-e-taskīn dil-e-zār yahī kaafī hai
shikva-e-jaur pe iqrār-e-vafā ho jaanā
ātish-e-rashk se ye shauq jalātā hai mujhe
us sitamgār kā pāband-e-jafā ho jaanā
jānñā apnī haqīqat kā bahut mushkil hai
sirr-e-maktūm hai bande kā ḳhudā ho jaanā
ab lab-e-yār pe purshish hai tamanna kī 'shamīm'
kaam aaya mirā rāzī-ba-razā ho jaanā
maut hai tere marizon ko shifa ho jaana
qahr hai qaid-e-masaib se riha ho jaana
hae mushtaq-e-shahadat se KHafa ho jaana
tegh ka qismat-e-arbab-e-wafa ho jaana
ahl-e-duniya meri qismat falak-e-na-hanjar
sab to ruThe hain kahin tum na KHafa ho jaana
sab jafaon ki talafi hai sitam-kash ke liye
tum se wade koi bhule se wafa ho jaana
apni haalat ki KHabar kuchh nahin achchha hai yahi
bais-e-marg hai ehsas-e-baqa ho jaana
bahr-e-taskin dil-e-zar yahi kafi hai
shikwa-e-jaur pe iqrar-e-wafa ho jaana
aatish-e-rashk se ye shauq jalata hai mujhe
us sitamgar ka paband-e-jafa ho jaana
jaanna apni haqiqat ka bahut mushkil hai
sirr-e-maktum hai bande ka KHuda ho jaana
ab lab-e-yar pe purshish hai tamanna ki 'shamim'
kaam aaya mera raazi-ba-raza ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.