maut ka gham nahin KHushiyon ke nazare hote
maut kā ġham nahīñ ḳhushiyoñ ke nazāre hote
merī turbat pe agar phuul tumhāre hote
mere mahbūb ke qadmoñ kī pazīrā.ī ko
ek dariyā ke ka.ī aur kināre hote
gar nikaltī mire armān kī koī gañgā
phir to sahrāoñ ke kyā ḳhuub nazāre hote
bach nikaltā bhalā kaise ye safīna merā
jo muḳhālif tire tūfān ke dhāre hote
vaqt le aayā ajab moḌ pe mujh ko varna
āsmāñ par merī qismat ke sitāre hote
maut ka gham nahin KHushiyon ke nazare hote
meri turbat pe agar phul tumhaare hote
mere mahbub ke qadmon ki pazirai ko
ek dariya ke kai aur kinare hote
gar nikalti mere arman ki koi ganga
phir to sahraon ke kya KHub nazare hote
bach nikalta bhala kaise ye safina mera
jo muKHalif tere tufan ke dhaare hote
waqt le aaya ajab moD pe mujh ko warna
aasman par meri qismat ke sitare hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.