maut ka thoDa kaam karta raha
maut kā thoḌā kaam kartā rahā
umr apnī tamām kartā rahā
pahle likkhī ġhazal mohabbat ko
aur phir us ko aam kartā rahā
ek tanhā.ī bas ga.ī dil meñ
aur maiñ us meñ qiyām kartā rahā
maiñ ne jo kuchh kamāyā ulfat meñ
vo bas ik tere naam kartā rahā
maut ka thoDa kaam karta raha
umr apni tamam karta raha
pahle likkhi ghazal mohabbat ko
aur phir us ko aam karta raha
ek tanhai bas gai dil mein
aur main us mein qiyam karta raha
main ne jo kuchh kamaya ulfat mein
wo bas ek tere nam karta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.