maut ka jam mila ishq ke maiKHane se
maut kā jaam milā ishq ke maiḳhāne se
vāsta ab rahā shīshe se na paimāne se
ishq badnām huā chīḳhne chillāne se
siikh le zabt-e-fuġhāñ tū kisī parvāne se
jaam rakhne kā ye aadī hai vo fayyāzī kā
is liye bantī nahīñ shīshe kī paimāne se
kisī vahshī ko nasīhat na tū kar ai nāseh
chheḌ achchhī nahīñ hotī kisī dīvāne se
umr bhar ġham se na chhūTā kabhī dāman 'jauhar'
jhagḌe sab miT ga.e ik maut ke jaane se
maut ka jam mila ishq ke maiKHane se
wasta ab raha shishe se na paimane se
ishq badnam hua chiKHne chillane se
sikh le zabt-e-fughan tu kisi parwane se
jam rakhne ka ye aadi hai wo fayyazi ka
is liye banti nahin shishe ki paimane se
kisi wahshi ko nasihat na tu kar ai naseh
chheD achchhi nahin hoti kisi diwane se
umr bhar gham se na chhuTa kabhi daman 'jauhar'
jhagDe sab miT gae ek maut ke jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.