maut ka kuchh KHiraj tha bhi nahin
maut kā kuchh ḳhirāj thā bhī nahīñ
us se achchhā ilaaj thā bhī nahīñ
dil pe hī roke zindagī ke vaar
aur kuchh mujh pe aaj thā bhī nahīñ
sun ke har baat an-sunī karnā
ye tumhārā mizāj thā bhī nahīñ
us ne pal bhar meñ mujh ko chhoḌ diyā
ishq meñ ye rivāj thā bhī nahīñ
ishq ne hī kiyā use taḳhlīq
varna pahle samāj thā bhī nahīñ
chārasāzoñ ne zahr hī likkhā
aur koī ilaaj thā bhī nahīñ
ishq meñ kal sivā.e rone ke
dūsrā kām-kāj thā bhī nahīñ
maut ka kuchh KHiraj tha bhi nahin
us se achchha ilaj tha bhi nahin
dil pe hi roke zindagi ke war
aur kuchh mujh pe aaj tha bhi nahin
sun ke har baat an-suni karna
ye tumhaara mizaj tha bhi nahin
us ne pal bhar mein mujh ko chhoD diya
ishq mein ye riwaj tha bhi nahin
ishq ne hi kiya use taKHliq
warna pahle samaj tha bhi nahin
chaarasazon ne zahr hi likkha
aur koi ilaj tha bhi nahin
ishq mein kal siwae rone ke
dusra kaam-kaj tha bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.