maut ki sun ke KHabar pyar jatane aae
maut kī sun ke ḳhabar pyaar jatāne aa.e
rūThe duniyā se jo ham yaar manāne aa.e
achchhe din aa.e to maiñ ne ye tamāsha dekhā
mere dushman bhī gale mujh ko lagāne aa.e
aaj mil kar mire dushman kā pata pūchhte haiñ
mujh se milne vo na milne ke bahāne aa.e
dard-o-ġham aur udāsī ke sivā kaun aatā
jin ko bhejā thā mire ghar meñ ḳhudā ne aa.e
phuul hī phuul khile jin kī badaulat ai dost
un ke hisse meñ na phūloñ ke ḳhazāne aa.e
edhī vāloñ ke sivā koī nahīñ thā us kā
log muflis kā janāza na uThāne aa.e
ro diye vo bhī mirī maut ke baa'd ai 'purnam'
yaad jab merī vafāoñ ke fasāne aa.e
maut ki sun ke KHabar pyar jatane aae
ruThe duniya se jo hum yar manane aae
achchhe din aae to main ne ye tamasha dekha
mere dushman bhi gale mujh ko lagane aae
aaj mil kar mere dushman ka pata puchhte hain
mujh se milne wo na milne ke bahane aae
dard-o-gham aur udasi ke siwa kaun aata
jin ko bheja tha mere ghar mein KHuda ne aae
phul hi phul khile jin ki badaulat ai dost
un ke hisse mein na phulon ke KHazane aae
edhi walon ke siwa koi nahin tha us ka
log muflis ka janaza na uThane aae
ro diye wo bhi meri maut ke ba'd ai 'purnam'
yaad jab meri wafaon ke fasane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.