maut ko nazar tu sanson ke niwale kar de
maut ko nazar tu sanson ke niwale kar de
Mehdi Baqar Khan Meraj
MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj
maut ko nazar tū sāñsoñ ke nivāle kar de
azm ko teġh irādoñ ko tū bhāle kar de
ḳhema-e-dil meñ añdheroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
tū agar chāhe to pal bhar meñ ujāle kar de
taaki sunsān shabistān ko vāris mil jaa.e
ik diyā koī havelī ke havāle kar de
phuuT ke ronā hai tujh ko to sar-e-rāh na ro
itnā ehsān mire paañv ke chhāle kar de
is liye rakhtā huuñ maiñ ashkoñ kā pahrā har dam
vaqt phir se na kahīñ aañkh meñ jaale kar de
be-gunāhī mujhe āzād karā hī legī
laakh mazbūt tū zindān ke taale kar de
maut ko nazar tu sanson ke niwale kar de
azm ko tegh iradon ko tu bhaale kar de
KHema-e-dil mein andheron ke siwa kuchh bhi nahin
tu agar chahe to pal bhar mein ujale kar de
taki sunsan shabistan ko waris mil jae
ek diya koi haweli ke hawale kar de
phuT ke rona hai tujh ko to sar-e-rah na ro
itna ehsan mere panw ke chhaale kar de
is liye rakhta hun main ashkon ka pahra har dam
waqt phir se na kahin aankh mein jale kar de
be-gunahi mujhe aazad kara hi legi
lakh mazbut tu zindan ke tale kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.