maut ko nazron mein rakh kar zindagi ko dekhiye
maut ko nazron mein rakh kar zindagi ko dekhiye
Saeedul Haq Saeed Itawi
MORE BYSaeedul Haq Saeed Itawi
maut ko nazroñ meñ rakh kar zindagī ko dekhiye
dhuup kā chashma lagā kar chāñdnī ko dekhiye
bahr-e-ibrat aap aa kar jāñkanī ko dekhiye
zindagī ke silsile kī is kaḌī ko dekhiye
bā.is-e-muhtājī-e-roġhan hai phīkī jin kī zau
un charāġhoñ kī zarā fāqa-kashī ko dekhiye
zail meñ jis ke raqam hai dāstān-e-rang-o-bū
aaj us unvān kī lā-hāsilī ko dekhiye
har qadam par sar-ba-sajda hai farishtoñ kā hujūm
ashraf-ul-maḳhlūq kī pākīzgī ko dekhiye
maut ko nazron mein rakh kar zindagi ko dekhiye
dhup ka chashma laga kar chandni ko dekhiye
bahr-e-ibrat aap aa kar jaankani ko dekhiye
zindagi ke silsile ki is kaDi ko dekhiye
bais-e-muhtaji-e-roghan hai phiki jin ki zau
un charaghon ki zara faqa-kashi ko dekhiye
zail mein jis ke raqam hai dastan-e-rang-o-bu
aaj us unwan ki la-hasili ko dekhiye
har qadam par sar-ba-sajda hai farishton ka hujum
ashraf-ul-maKHluq ki pakizgi ko dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.