maut ko rasta diya maine
maut ko rāstā diyā maiñ ne
phir se jī kar dikhā diyā maiñ ne
ḳhud ko jaane vo is liye us ko
gift meñ aa.ina diyā maiñ ne
ek din sab nazar mujhe aaya
ek din sab bhulā diyā maiñ ne
ghar isī fikr meñ lage suunā
us ko aisā bhī kyā diyā maiñ ne
ek din rote rote sāhil par
us ke ḳhat ko bahā diyā maiñ ne
jis ne har-vaqt merā dil rakkhā
us kā dil bhī dukhā diyā maiñ ne
saare āshiq ḳhamosh haiñ 'sohil'
apnā qissa sunā diyā maiñ ne
maut ko rasta diya main ne
phir se ji kar dikha diya main ne
KHud ko jaane wo is liye us ko
gift mein aaina diya main ne
ek din sab nazar mujhe aaya
ek din sab bhula diya main ne
ghar isi fikr mein lage suna
us ko aisa bhi kya diya main ne
ek din rote rote sahil par
us ke KHat ko baha diya main ne
jis ne har-waqt mera dil rakkha
us ka dil bhi dukha diya main ne
sare aashiq KHamosh hain 'sohil'
apna qissa suna diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.