maut mera ek zara sa kaam kar
maut merā ik zarā sā kaam kar
zindagī kī dhuup meñ kuchh shaam kar
le ye chādar ḳhud-kushī kī ḳhud pe Daal
zindagī kuchh din zarā ārām kar
le ke aatā huuñ maiñ apnī vahy-e-jism
tū farāham ruuh kā ilhām kar
ruḳh taraqqī kā palaT de mere jism
varna mar jā.egā ḳhud ko ḳhaam kar
jism phir ḳhud hī qalandar ban gayā
ruuh ke dāman ko kuchh din thaam kar
dhajjiyāñ kar jā ke kā'be kā ġhilāf
dhajjiyoñ ko jāma-e-ehrām kar
'farhat-ehsās' apnī teġh-e-amn se
farhatullāhoñ kā qatl-e-'ām kar
maut mera ek zara sa kaam kar
zindagi ki dhup mein kuchh sham kar
le ye chadar KHud-kushi ki KHud pe Dal
zindagi kuchh din zara aaram kar
le ke aata hun main apni wahy-e-jism
tu faraham ruh ka ilham kar
ruKH taraqqi ka palaT de mere jism
warna mar jaega KHud ko KHam kar
jism phir KHud hi qalandar ban gaya
ruh ke daman ko kuchh din tham kar
dhajjiyan kar ja ke ka'be ka ghilaf
dhajjiyon ko jama-e-ehram kar
'farhat-ehsas' apni tegh-e-amn se
farhatullahon ka qatl-e-'am kar
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 53)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.