maut se ab Dar ke ghabraata hai kyon
maut se ab Dar ke ghabrātā hai kyoñ
vaqt se pahle marā jaatā hai kyoñ
dostī kī hai agar ḳhvāhish tujhe
dushmanī kī aag bhaḌkātā hai kyoñ
māñgnā hai jo bhī vo mālik se maañg
sab ke aage haath phailātā hai kyoñ
laaj rakkhegā tirī mālik tirā
uTh ke chal himmat se ghabrātā hai kyoñ
jab nahīñ aatā tujhe koī hunar
yūñhī duniyā bhar ko bahkātā hai kyoñ
jo nahīñ tujh ko bulātā shauq se
us ke ghar ai 'mehrbāñ' jaatā hai kyoñ
maut se ab Dar ke ghabraata hai kyon
waqt se pahle mara jata hai kyon
dosti ki hai agar KHwahish tujhe
dushmani ki aag bhaDkata hai kyon
mangna hai jo bhi wo malik se mang
sab ke aage hath phailata hai kyon
laj rakkhega teri malik tera
uTh ke chal himmat se ghabraata hai kyon
jab nahin aata tujhe koi hunar
yunhi duniya bhar ko bahkata hai kyon
jo nahin tujh ko bulata shauq se
us ke ghar ai 'mehrban' jata hai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.