maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin
maut se bad-tar haiñ jiine kī kasak jaatī nahīñ
ḳhālī paimāne hue lekin khanak jaatī nahīñ
har nizām-e-tāza ke ḳhāliq ko laa.e daar tak
aaj tak duniyā ke logoñ kī sanak jaatī nahīñ
raqs kartī hai havā meñ ai mirī vahshat magar
ashk ban kar kyoñ in āñkhoñ se Tapak jaatī nahīñ
dostoñ kī chuTkiyāñ bhī qābil-e-tahsīn haiñ
zaḳhm bhar jaate haiñ tāsīr-e-namak jaatī nahīñ
ḳhāka-e-hastī huā be-rang imkāñ kho ga.e
phir bhī āñkhoñ se umīdoñ kī dhanak jaatī nahīñ
yūñhī bār-āvar nahīñ hotā tamanna kā shajar
aise hī chādar tire sar se Dhalak jaatī nahīñ
maut se bad-tar hain jine ki kasak jati nahin
KHali paimane hue lekin khanak jati nahin
har nizam-e-taza ke KHaliq ko lae dar tak
aaj tak duniya ke logon ki sanak jati nahin
raqs karti hai hawa mein ai meri wahshat magar
ashk ban kar kyon in aankhon se Tapak jati nahin
doston ki chuTkiyan bhi qabil-e-tahsin hain
zaKHm bhar jate hain tasir-e-namak jati nahin
KHaka-e-hasti hua be-rang imkan kho gae
phir bhi aankhon se umidon ki dhanak jati nahin
yunhi bar-awar nahin hota tamanna ka shajar
aise hi chadar tere sar se Dhalak jati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.