maut se kab najat hai pyare
maut se kab najāt hai pyāre
zindagī ko ye maat hai pyāre
jis ne samjhā vo miir ho gayā hai
aa.ina kā.enāt hai pyāre
roz chehre badal ke ḳhush hai tū
ye to ḳhud se hī ghaat hai pyāre
tū jinheñ shūrvīr samjhe hai
buz-diloñ kī ye zaat hai pyāre
itnā āsāñ nahīñ ġhazal kahnā
'mīr' 'ġhālib' kī zaat hai pyāre
terā kirdār aa.ina ho jaa.e
bas yahī to sabāt hai pyāre
Duub jā ishq ke samundar meñ
dekh phir kaun saath hai pyāre
koī maqsad na koī manzil ho
zindagī kyā mamāt hai pyāre
maut se kab najat hai pyare
zindagi ko ye mat hai pyare
jis ne samjha wo mir ho gaya hai
aaina kaenat hai pyare
roz chehre badal ke KHush hai tu
ye to KHud se hi ghat hai pyare
tu jinhen shurwir samjhe hai
buz-dilon ki ye zat hai pyare
itna aasan nahin ghazal kahna
'mir' 'ghaalib' ki zat hai pyare
tera kirdar aaina ho jae
bas yahi to sabaat hai pyare
Dub ja ishq ke samundar mein
dekh phir kaun sath hai pyare
koi maqsad na koi manzil ho
zindagi kya mamat hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.