mayassar agar dar tumhaara na hota
mayassar agar dar tumhaara na hota
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
mayassar agar dar tumhārā na hotā
to sajda adā phir hamārā na hotā
mirā qalb-e-muztar na taskīn paatā
jo jalva tirā āshkārā na hotā
chaman meñ ye rangīniyāñ bhī na hotīñ
agar ḳhuun shāmil hamārā na hotā
yaqīnan vafā kī mirī qadr karte
jafā-jū agar dil tumhārā na hotā
bigaḌ jaatā hamdam mizāj-e-zamāna
jo zulfoñ ko tum ne sañvārā na hotā
bachāte jo ḳhud ko nigāh-e-butāñ se
mohabbat meñ dil paarā paarā na hotā
nihāñ ātish-e-ġham jo hotī na dil meñ
to aañsū nikal kar sharārā na hotā
bharam TuuT jaatā vafāoñ kā merī
agar zabt kā dil ko yaarā na hotā
nigāh-e-karam kaam aatī na mere
to mahshar meñ koī hamārā na hotā
kabhī bhī na mansūr kahte anal-haq
jo shāmil tumhārā ishāra na hotā
ulajhnā 'shafī.a' dām-e-zulf-e-butāñ meñ
ḳhudā ko hamāre gavārā na hotā
mayassar agar dar tumhaara na hota
to sajda ada phir hamara na hota
mera qalb-e-muztar na taskin pata
jo jalwa tera aashkara na hota
chaman mein ye ranginiyan bhi na hotin
agar KHun shamil hamara na hota
yaqinan wafa ki meri qadr karte
jafa-ju agar dil tumhaara na hota
bigaD jata hamdam mizaj-e-zamana
jo zulfon ko tum ne sanwara na hota
bachate jo KHud ko nigah-e-butan se
mohabbat mein dil para para na hota
nihan aatish-e-gham jo hoti na dil mein
to aansu nikal kar sharara na hota
bharam TuT jata wafaon ka meri
agar zabt ka dil ko yara na hota
nigah-e-karam kaam aati na mere
to mahshar mein koi hamara na hota
kabhi bhi na mansur kahte anal-haq
jo shamil tumhaara ishaara na hota
ulajhna 'shafia' dam-e-zulf-e-butan mein
KHuda ko hamare gawara na hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.