mayassar ho jo lamha dekhne ko
mayassar ho jo lamha dekhne ko
kitāboñ meñ hai kyā kyā dekhne ko
hazāroñ qadd-e-ādam aa.ine haiñ
magar tarsoge chehra dekhne ko
abhī haiñ kuchh purānī yādgāreñ
tum aanā shahr merā dekhne ko
phir us ke baad thā ḳhāmosh paanī
ki log aa.e the dariyā dekhne ko
havā se hī khultā thā aksar
mujhe bhī ik darīcha dekhne ko
qayāmat kā hai sannāTā fazā meñ
nahīñ koī parinda dekhne ko
abhī kuchh phuul haiñ shāḳhoñ pe 'az.har'
mujhe kāñToñ meñ uljhā dekhne ko
mayassar ho jo lamha dekhne ko
kitabon mein hai kya kya dekhne ko
hazaron qadd-e-adam aaine hain
magar tarsoge chehra dekhne ko
abhi hain kuchh purani yaadgaren
tum aana shahr mera dekhne ko
phir us ke baad tha KHamosh pani
ki log aae the dariya dekhne ko
hawa se hi khulta tha aksar
mujhe bhi ek daricha dekhne ko
qayamat ka hai sannaTa faza mein
nahin koi parinda dekhne ko
abhi kuchh phul hain shaKHon pe 'azhar'
mujhe kanTon mein uljha dekhne ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.