mayassar ishq mein sabr-o-qarar-e-dil nahin hota
mayassar ishq mein sabr-o-qarar-e-dil nahin hota
Shankar Lal Shankar
MORE BYShankar Lal Shankar
mayassar ishq meñ sabr-o-qarār-e-dil nahīñ hotā
jahāñ tūfān hotā hai vahāñ sāhil nahīñ hotā
agar koshish na kī jaa.e to kuchh hāsil nahīñ hotā
ki be-sa.ī-e-amal ta.amīr mustaqbil nahīñ hotā
nahīñ hotā jise ehsās auroñ kī musībat kā
vo ik patthar to ho saktā hai lekin dil nahīñ hotā
hadeñ mere junūn-e-shauq kī haiñ kis qadar aage
sar-e-manzil pahuñch kar bhī sar-e-manzil nahīñ hotā
tumhārī jalva-ārā.ī se rangīnī hai duniyā meñ
na hote tum to ye hangāma-e-mahfil nahīñ hotā
irāda ho to koī baat nā-mumkin nahīñ rahtī
bharosā ho to koī kaam bhī mushkil nahīñ hotā
nazar us kī ma.āl-e-zindagī jis ko nazar aa.e
samajh us kī hai jo anjām se ġhāfil nahīñ hotā
sadāqat kā zamāne meñ hamesha bol-bālā hai
jo haq par hoñ unheñ andesha-e-bātil nahīñ hotā
na khul jaa.e kahīñ rāz-e-mohabbat dekh ai 'shankar'
hujūm-e-yās meñ kuchh e'tibār-e-dil nahīñ hotā
mayassar ishq mein sabr-o-qarar-e-dil nahin hota
jahan tufan hota hai wahan sahil nahin hota
agar koshish na ki jae to kuchh hasil nahin hota
ki be-sai-e-amal tamir mustaqbil nahin hota
nahin hota jise ehsas auron ki musibat ka
wo ek patthar to ho sakta hai lekin dil nahin hota
haden mere junun-e-shauq ki hain kis qadar aage
sar-e-manzil pahunch kar bhi sar-e-manzil nahin hota
tumhaari jalwa-arai se rangini hai duniya mein
na hote tum to ye hangama-e-mahfil nahin hota
irada ho to koi baat na-mumkin nahin rahti
bharosa ho to koi kaam bhi mushkil nahin hota
nazar us ki maal-e-zindagi jis ko nazar aae
samajh us ki hai jo anjam se ghafil nahin hota
sadaqat ka zamane mein hamesha bol-baala hai
jo haq par hon unhen andesha-e-baatil nahin hota
na khul jae kahin raaz-e-mohabbat dekh ai 'shankar'
hujum-e-yas mein kuchh e'tibar-e-dil nahin hota
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 27)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.